rakha hai dil un buton se humne chhupa chhupa kar chhupa chhupa kar

rakha hai dil un buton se hum ne chhupa chhupa kar chhupa chhupa kar
bala ye tali hai sar se apne khuda khuda kar khuda khuda kar

sitam to dekho ye kya sitam hai bula ke ghairon ko pas apne
wo kis dhitai se hain bithae dikha dikha kar dikha dikha kar

zaban pe lane se faeda kya mujhe khabar hai adu ne un ko
meri taraf se kiya hai bad-zan laga laga kar laga laga kar

suni haqiqat na kan dhar ke kabhi na puchha ki haal kya hai
fasana-e-gham hum un ko haare suna suna kar suna suna kar

bhala na ghusse se hum chabaen batao kyun-kar na hont apna
raqib karte hain hum se baaten chaba chaba kar chaba chaba kar

jatae dete hain itna hum ye tum un ke dam mein kahin na aana
wo jaan-o-dil len hain chhin baaten bana bana kar bana bana kar

jo hath bandon ka 'aish' us ne karam se khali nahin hai rakkha
duaen mangen hain us se wo hath utha utha kar utha utha kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close