rakha pa jahan mein nagara zamin par bahut sar ko wan hum ne mara zamin par junun josh mare hai diwar-o-dar se hua kis pari ka guzara zamin par nahin hai ye aah-e-falak sa ki hum ne alam shor-e-sauda ka gadha zamin par qadam jis jagah rakkha us sang-dil ne na ho wan ba-juz sang-e-khara zamin par nazar se teri jis ne hum ko giraya falak se utha kar ke mara zamin par tu ru-e-zamin dekh le sair ho kar na hoga guzar phir dobara zamin par tere naqsh-e-pa ko kahe apna ham-sar nahin hai ye munh to hamara zamin par wo zohra-jabin mehrban howe 'hasrat' kahan hai ye apna sitara zamin par