rah-raste mein tu yun rahta hai aa kar hum se mil kam gaya lekin wo yar-e-khangi ghar hum se mil dil tadapta hai pada is sina-e-sad-chaak mein khol kar band-e-qaba tu ai saman-bar hum se mil be-niyaz us husn ko aur naz ko barpa rakhe be-takalluf ho ke tu ai naz-parwar hum se mil pahunchna tum tak miyan apna to ek ashkal hai howe ta milna tera hum ko mayassar hum se mil har musibat bhar ke main pahuncha hun tere dar talak be-murawwat ek dam aa ghar se bahar hum se mil ab to us be-dast-o-pa se ho nahin sakti talash dhund le kar hum ko ai rizq-e-muqaddar hum se mil in dinon rahti hai mujh ko be-qarari beshtar qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar hum se mil ser rakhti hain meri be-tabien us waqt zor harf hamara gar nahin hai tujh ko bawar hum se mil ho gaya teri hawa-khwahi mein 'hasrat' tu ba-baad baitha kya hai khak mein hum ko mila kar hum se mil