rakhen hain sahra jo itne to jhil bhi rakkho kabhi visal ko thoda tawil bhi rakkho use kaho koi taswir bhej de apni jo ji rahe ho to koi dalil bhi rakkho na jaane kaun se ashaar kis ko chubh jaen jo sachche sher hain kahne wakil bhi rakkho tumhein bhi chahiye izzat agar zamane se to apne aap ko thoda zalil bhi rakkho tamam logon ki sargarmiyon ka mausam hai junun ke shahr mein koi sabil bhi rakho utar kar ye udasi kabhi to tang sako kisi diwal pe ek aisi kil bhi rakkho bade maze ki sawari hai dil ka ye tattu lagam kas ke rakho aur dhil bhi rakkho ghamon ki sohbaten achchhi na fasle achchhe inhen hisar mein rakkho fasil bhi rakkho