shab-e-mahshar teri bahon ke talabgar rahe hum tere apnon mein ho kar bhi to aghyar rahe ek main hun jo hamesha se mukhalif thahra ek tum ho jo hamesha se taraf-dar rahe sath ho kar bhi to hum sath nahin hain mano ek aangan ho magar bich mein diwar rahe ek us se hi nahin nibh saka rishta hum se yun to hum sare zamane se wafadar rahe faeda kya hua jo us ne muafi de di apni nazron mein to ta-umr gunahgar rahe ek arse se hansi tak nahin aai hum ko ek arse se udasi mein giraftar rahe film ke ant mein jo jaan ganwa deta hai hum haqiqat mein wahi aakhiri kirdar rahe