rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe ki jis se raaz-e-mohabbat bashar bashar mein rahe chaman jo ban ke tera rahguzar guzar mein rahe to nakhl-e-tur ka jalwa shajar shajar mein rahe aziz tar hai agar ho sarishk mein tasir latif-tar hai jo aab-e-guhar guhar mein rahe udhar tamam kiya aasman ne apna kaam idhar phanse hue ahl-e-hunar hunar mein rahe wufur-e-gham se ye ji mein hai roiye is tarah na dil mein haal na khun-e-jigar jigar mein rahe buri khabar ho to is tarah nama-bar kahna ki sidq-o-kizb ka shak be-khabar khabar mein rahe samajh ke ishq kar ai dil ki kya nahin malum jo sochte nahin naf-o-zarar zarar mein rahe uthao qabr mein bhi lazzat-e-khalish ta-hashr khuda kare ki khadang-e-jigar jigar mein rahe wafa hamari sitam aap ke kuchh aise hon ki muddaton yahi charcha bashar bashar mein rahe shab-e-firaq mili tira-rozgari mein sahar guzar gai aur hum sahar mein rahe hum un ki bazm mein baithe rahe wa-lekin yun ki jaise rahraw-e-rah-e-khatar khatar mein rahe khiche jo sine se nala to chahiye ai dil misal-e-mani-e-lafz-e-asar asar mein rahe shab-e-visal ki yarab na raushni kam ho wo nur-e-ariz-e-rashk-e-qamar qamar mein rahe tamiz gham ko diya tha falak ne aish itna ki jaise jalwa-e-rang-e-sharar sharar mein rahe hamare qatl ko lo nazuki se pahle salah abhi to khanjar-e-zeb-e-kamar kamar mein rahe ada-e-sharm mein lakhon ishaare hain 'salik' jhuki hui ye kisi ki nazar nazar mein rahe