uthe aaj un se faisla kar ke ya khafa ho ke ya khafa kar ke us ki raftar se ghanimat hai ki rahe hashr hi bapa kar ke us sanam ki gali mein jata hun phir nazar jaanib-e-khuda kar ke ghair tak apni baat pahunchai us se izhaar-e-muddaa kar ke kar to len tark-e-ishq hum naseh par guzarenge umr kya kar ke mujh pe jo chahiye sitam kije par na aghyar ka kaha kar ke muft zillat uthai 'salik' ne zikr is bazm mein mera kar ke