raKHt-e-safar safar se alag kar diya gaya

rakht-e-safar safar se alag kar diya gaya
khwabon ko chashm-e-tar se alag kar diya gaya

aadam se ja ke milta hai jab sab ka silsila
phir kyon bashar bashar se alag kar diya gaya

be-ghar hue hain kitne parinde na puchhiye
shakhon ko jab shajar se alag kar diya gaya

rishton ke sabz-bagh dikhae gae mujhe
aur us ke baad ghar se alag kar diya gaya

dushman se lad raha hai abhi mera hausla
haalanki jism sar se alag kar diya gaya

shab-khun mar kar meri nindon pe 'altamash'
khwabon ki rahguzar se alag kar diya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close