qadam-qadam pe paraya dimagh hote hain

qadam-qadam pe paraya dimagh hote hain
ye pure log adhura dimagh hote hain

kisi ki fikr pe labbaik hum nahin kahte
hum apne haq mein khud apna dimagh hote hain

jawan-umr mein darte hain jo baghawat se
nae saron mein purana dimagh hote hain

jo pahle-pahl andhera dikhai dete hon
wo baad baad ujala dimagh hote hain

bahut se log to pairon se sar ke baalon tak
ba-shakl-e-jism sarapa dimagh hote hain

amir-e-shahr ki qurbat mein baithne wale
barae-nam hi apna dimagh hote hain

kisi ki aankhon se duniya ko dekhne wale
kisi ki fikr kisi ka dimagh hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close