rakhta nahin hai dasht sarokar aab se

rakhta nahin hai dasht sarokar aab se
bahlae jate hain yahan pyase sarab se

din mein bhi ghar ujale se mahrum hai to hai
kirnon ka kya sawal karun aaftab se

bilkul durust hote hue fail ho gaya
main ne jawab naql kiya tha kitab se

wo sal ho ki mah ho din ho ki ho ghadi
baqi nahin bachunga kisi ke hisab se

har shai par ek uchatti nazar dalta chalun
be-kar hoga mera utarna rikab se

tarmim hazf aur izafe ke sath sath
ye kulliyat pur hai mere intikhab se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close