tark-e-talluqat pe roya na tu na main lekin ye kya ki chain se soya na tu na main haalat ke tilism ne pathra diya magar bite samon ki yaad mein khoya na tu na main har chand ikhtilaf ke pahlu hazar the wa kar saka magar lab-e-goya na tu na main nauhe fasil-e-zabt se unche na ho sake khul kar dayar-e-sang mein roya na tu na main jab bhi nazar uthi to falak ki taraf uthi bar-gashta aasman se goya na tu na main