rakhte hain dushmani bhi jatate hain pyar bhi hain kaise gham-gusar mere gham-gusar bhi afsurdagi bhi rukh pe hai un ke nikhaar bhi hai aaj gulsitan mein khizan bhi bahaar bhi pita hun main sharab-e-mohabbat to kya hua pita hai ye sharab to parwardigar bhi milne ki hai khushi to bichhadne ka hai malal dil mutmain bhi aap se hai be-qarar bhi aa kar wo meri lash pe ye kah ke ro diye tum se hua na aaj mera intizar bhi ai dost baad-e-marg bhi main hun shikasta-haal dil ki tarah se tuta hua hai mazar bhi 'purnam' ye sab karam hai 'qamar' ka jo aaj-kal hota hai ahl-e-fan mein tumhaara shumar bhi