rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz daman mein liya apne hai dariya ne guhar faiz pur-nur ajab kya hai kare mujh ko karam se rakhti hai do aalam pe teri ek nazar faiz ek jam pe bakhshe hai yahan rutba jism ko kis ki nigah-e-mast se rakhta hai khumar faiz mahrum nahin koi tere khwan-e-karam se hai hasr khudai ka hi tujh pe magar faiz 'chanda' rahe partaw se tere ya ali raushan khurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz