meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata bichhad kar bhi bichhad jaane ka ye dar kyun nahin jata agar ye zakhm bharna hai to phir bhar kyun nahin jata agar ye jaan-lewa hai to main mar kyun nahin jata agar tu dost hai to phir ye khanjar kyun hai hathon mein agar dushman hai to aakhir mera sar kyun nahin jata bataun kis hawale se unhen bairag ka matlab jo tare puchhte hain raat ko ghar kyun nahin jata zara fursat mile qismat ki chausar se to sochunga ki khwahish aur hasil ka ye antar kyun nahin jata mere sare raqibon ne zaminen chhod din kab ki magar ashaar se mere wo tewar kyun nahin jata mujhe bechain karte hain ye dil ke an-ginat dhabbe jo jata hai wo yaadon ko mita kar kyun nahin jata