ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai dil-e-dagh gashta kabab hai jigar gudakhta aab hai meri khalq mahw-e-kalam sab mujhe chhodte hain khamosh kab mera harf rashk-e-kitab hai mari baat likhne ka bab hai jo wo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tere nihan teri khamushi se ye nikle hai ki jawab khat ka jawab hai rahe haal dil ka jo ek sa to rujua karte kahin bhala so tu ye kabhu hama dagh hai kabhu nim-soz kabab hai kahenge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada na kaso ki tum ko hai tak haya na hamare munh se hijab hai chalo mai-kade mein basar karen ki rahi hai kuchh barakat wahin lab-e-na-towan ka kabab hai dam-e-abwan ka sharab hai nahin khultin aankhen tumhaari tak ki maal par bhi nazar karo ye jo wahm ki si numud hai use khub dekho to khwab hai gae waqt aate hain hath kab hue hain ganwa ke kharab sab tujhe karna howe so kar tu ab ki ye umr barq-e-shattab hai kabhu lutf se na sukhan kya kabhu baat kah na laga liya yahi lahza lahza khitab hai wahi lamha lamha itab hai tu jahan ke bahr-e-amiq mein sar par hua na buland kar ki ye panj-roza jo bud hai kaso mauj-e-pur ka habab hai rakho aarzu mai-e-kham ki karo guftugu khat-e-jam ki ki siyah caron se hashr mein na hisab hai na kitab hai mera shor sun ke jo logon ne kiya puchhna tu kahe hai kya jise 'mir' kahte hain sahibo ye wahi to khana-kharab hai