ramz-e-hayat aalam-e-fani mein kho gaya mera wajud naql-e-makani mein kho gaya kya jaane kya kashish thi tumhaare kalam mein jis ne suna wo lafz-o-maani mein kho gaya jo dur tak nahin the wahi ab hain samne kirdar mera us ki kahani mein kho gaya dariya se bhi kahin koi sailab jab utha wo bhi in aansuon ki rawani mein kho gaya jo kuchh kaha nazar ne nazar se sune wo kaun har shakhs guftugu-e-lisani mein kho gaya duniya-e-ilm-o-fan mein jo hasil tha kal use sara kamal charb-zabani mein kho gaya ehsas phir zaifi mein 'rahbar' hua unhen lutf-e-hayat jin ka jawani mein kho gaya