talKHi-e-nau shakar-amez hui jati hai

talkhi-e-nau shakar-amez hui jati hai
zindagi aur dil-awez hui jati hai

kis ne lafzon pe ye chupke se kamanden phenkin
jo zaban hai wo kam-amez hui jati hai

dast-e-qatil mein nazar aati hai ek shakh-e-gulab
zindagi phir bhi to khun-rez hui jati hai

mahmil-e-waqt mein raushan hain farasat ke charagh
phir bhi auham ki lau tez hui jati hai

jab se gulfam-nigarish hue ghaalib ke khutut
shakh-e-tahrir bhi gul-rez hui jati hai

tishnagi ban ke chhalak jaen na alfaz kahin
guftugu honton pe labrez hui jati hai

ab dhundlakon ke sahaare hain ghanimat 'mutrib'
raushni fitrat-e-changez hui jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close