rang aur nur ki tamsil se hoga ki nahin shab ka matam meri qindil se hoga ki nahin dekhna ye hai ki jangal ko chalane ke liye mashwara richh se aur chil se hoga ki nahin aayat-e-tira-shabi padhte hue umr hui samna ab bhi azazil se hoga ki nahin zard mitti mein utarti hui ai qaus-e-quzah khwab paida teri tarsil se hoga ki nahin os ke phul mahakte hain teri aaankhon mein in ka rishta bhi kisi nil se hoga ki nahin jab sukhan karne lagunga main tujhe asr-e-rawan istiara koi injil se hoga ki nahin