ret mutthi mein bhari pani se aaghaz kiya sakht mushkil mein tha aasani se aaghaz kiya mujh ko mitti se badan bante hue umr lagi meri tamir ne virani se aaghaz kiya ye jahanon ka zamanon ka makanon ka safar ghaib ne lafz se ya mani se aaghaz kiya jab bhi ye aankh anasir ki taraf dekhti hai yaad aata hai pareshani se aaghaz kiya jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye in sawalat ki hairani se aaghaz kiya ek khamosh samundar tha mere chaar taraf jis mein aawaz ne tughyani se aaghaz kiya mujh ko bad-surati-e-jism ka andaza hai main ne aaina-e-uryani se aaghaz kiya