rang-birange phulon jaisi meri chanchal aas meri aas ka rup manohar piritam ko hai ras chupke chupke kya kahte hain tujh se dhan ke khet bol ri nirmal nirmal nadiya kyun hai chand udas sur-sagar jaise gahre hain mere kawi ke nain dekh sakhi panghat par aaya kaun bujhane pyas nur ke tadke main ne dekhi pankhudiyon par os taron ke moti chunti hai sari raat kapas sanjh-sawere nainon mein lahrae us ka rup mere sapnon ka rakhwala dur rahe ya pas