har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai mushkil thi jo bhi jis ki aasan ho gai hai kahna na kuchh kisi se chup chup se takte rahna aakhir yahi hamari pahchan ho gai hai ek shakhs bhola-bhaala basti ki puchhta hai kaise kahun ki basti viran ho gai hai jo tha raha na kuchh bhi jo hai na jaane kya hai so ab yahan se rukhsat aasan ho gai hai pahle the hum hi hairan hum sa nahin hai koi aur ab to sari duniya hairan ho gai hai aisi chahal-pahal thi mushkil se lautte the yaadon ki wo gali ab sunsan ho gai hai bas 'talkh' ki rawish thi ab tak baghair unwan ab is rawish ka duri unwan ho gai hai