rang-e-ehsas chhalakta hai nikhar jati hai zindagi ishq ke sae mein sanwar jati hai ruh chhukar koi guzre to mohabbat kahna jism ko chhu ke hawa bhi to guzar jati hai jab junun khinchne lagta hai falak ki chadar khalq ek naqsh-e-kaf-e-pa mein utar jati hai dasht-o-sahra mein bhatakti hun main tanha lekin mujh se lipti hui ye kis ki nazar jati hai sab ne dekha hai bahut jism ka mitti hona ruh ko dekhe koi ruh kidhar jati hai ek hi aab-o-hawa hoti hai gulshan mein magar koi khilti hai kali koi bikhar jati hai rang bharne ko utarte hain farishte sare un ki taswir jo aankhon mein ubhar jati hai un ke chhune se mere zakhm chamak uthte hain bekali dil ki meri jaane kidhar jati hai koi manzar use ras aaya nahin duniya mein dhundhti hai ye nazar un ko jidhar jati hai wo jo ek chot si lag jati hai dil par apne wo bhi duniya ka hamein de ke hunar jati hai mushkilen hi to mera azm-e-safar hain 'rinki' ho jo aasani to raftar thahar jati hai