raat ke sath hi jab dard jawan hota hai mere zakhmon se naya shams ayan hota hai raqs karta hai sar-e-sham meri aankhon mein ek chehra jo mere dil mein nihan hota hai lab ke inkar ko inkar na samjha jae raaz ulfat ka nigahon se bayan hota hai karwaten khinchti hain silwaton mein taswiren sath ek ishq ke kya khub saman hota hai khun ugalti hai meri ruh-e-wafa ki dhadkan meri nas nas mein tera ishq rawan hota hai waqt ke sath jo har gam badal jate hain un ka duniya mein kahan nam-o-nishan hota hai ham-nawa ham-nashin ham-rah bhi jo ho 'rinki' ek hi shakhs mein ye jadu kahan hota hai