rang-e-khulus gang-o-jaman mein nahin raha kya husn tha jo arz-e-watan mein nahin raha karta nahin hai dasht-e-tamanna mein koi ram ab wo ghazal shauq-e-khutan mein nahin raha ashjar-e-gul ko main ne hi sincha tamam-umr khushbu use mili jo chaman mein nahin raha yak-lakht mujh pe us ke sab asrar khul gae ab koi jin charagh-e-badan mein nahin raha tabdil ho gae hain jawan-sal khal-o-khad wo bankpan bhi tere sukhan mein nahin raha main tishna-kaam us ke kinare gaya 'salim' lekin wo aab khitta-e-tan mein nahin raha