khush-shanasi ka sila karb ka sahra hun main kaun pahchane ki ek dasht-e-tamanna hun main sard pani ki zaban chatti rahti hai mujhe kohar mein duba hua koi jazira hun main apni viran si aankhon ko saja lo mujh se phir na hath aaunga udta hun sapna hun main bhul jaoge mujhe tum bhi sahar hone tak aakhir-e-shab ka koi tutta lamha hun main tuta-phuta hi sahi phir bhi kashish rakhta hun mujh se mahzuz to ho lo ki khilauna hun main ek dushnam hai ye tarz-e-taaruf mujh ko yaro is shahr ka derina shanasa hun main