rang ka farq mitaya ye sharaf mera tha sang-e-aswad tha mera durr-e-najaf mera tha subh-e-baiat ki wo zahrili hawa teri thi aur jo phul tha shamshir-ba-kaf mera tha rah ke pani mein bhi pani se bahut dur raha tha jo dariya mein wafaon ka sadaf mera tha din-o-duniya mein rahi jang andhere ke sabab subh ke waqt magar meri taraf mera tha us ko karna hi pada sar mera uncha 'saulat' aaj neze ne bhi samjha jo sharaf mera tha