ek na-maqbul qurbani hun main

ek na-maqbul qurbani hun main
sar-phiri ulfat mein la-sani hun main

main chala jata hun wan taklif se
wo samajhte hain ki la-sani hun main

kan dharte hi nahin wo baat par
kab se masruf-e-sana-khwani hun main

zindagi hai ek kirae ki khushi
sukhte talab ka pani hun main

mujh se badh kar kya koi hoga amir
qimti wirse ki arzani hun main

chandni raaton mein yaron ke baghair
chandni raaton ki virani hun main

kahna sunna un se mujh ko kuchh nahin
sirf ek tamhid-e-tulani hun main

mujh ko pachhtana nahin aata 'adam'
ek daulat-mand nadani hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close