rang khwabon ke nae aankh mein bhar jata hai pyar nashshe ki tarah jaan mein utar jata hai wo to bas ek hi pal did ata karta hai jate jate hi magar us ka asar jata hai sar jhukae hue yun ab ke hawa chalti hai jaise wadon se koi shakhs mukar jata hai us ne bhi chot koi husn se khai hogi chand ko dekh samundar jo biphar jata hai ek aazad rawayye ki mahak hai un mein dil parindon ki rifaqat mein nikhar jata hai jab bichhadta hai koi bansuri ro uthti hai sham ke sahn mein ek dard bikhar jata hai lafz aawaz ke jangal mein bhatakta hai magar us ke honton se ada ho to sanwar jata hai