kaha hai kis ne ki ab to shayad gulab mausam idhar na aae bhala ye mumkin hai jaane wala palat ke 'firoz' ghar na aae hua wo aadi kuchh is tarah se qafas ke majbur roz-o-shab ka riha hua bhi magar parinde ke der tak baal-o-par na aae akelgi ke azab-e-mausam ab apni hasti pe bhog pyare ki khud tumhi ne mujhe kaha tha teri dua mein asar na aae munafiqat ke fareb-sahra mein dhup ne chat li hain aankhen kadi ruton ki masafaton mein rafaqaton ke shajar na aae main sham-e-shahr-e-wafa mein 'firoz' us ki aawaz dhundhta hun jahan wo mil ke bichhad gaya tha wo sang-e-manzil nazar na aae