rang laya diwana-pan mera si rahe hain wo pairahan mera main nawed-e-bahaar laya tha tazkira har chaman chaman mera shabnam-e-fikr-o-gulsitan-e-sukhan jagmagata hai phulban mera lala-o-gul khile hain kanton par in mein uljha tha pairahan mera ye bhi ab tak nahin hua malum main sajan ka hun ya sajan mera jo bhi hai sab teri inayat hai jaan meri na ye badan mera kya tujhe bhi khayal aata hai kabhi bhule se jaan-e-man mera us ne dekha tha muskura ke kabhi umr bhar dil raha magan mera ai sharab-e-sukhan ke matwale kuchh sukhan hi nahin hai fan mera 'wajd' kis ka watan kahan ka watan wo jahan hain wahin watan mera