rang-o-bu phul mein kali mein nahin husn bhi ab wo chandni mein nahin aadamiyyat jo aadmi mein nahin gham ka ehsas ab kisi mein nahin zahar-bar-lab har ek gul hai aaj zindagi phul ki hansi mein nahin baada-e-intiqam pi pi kar aadmi jaise aap hi mein nahin dushmani ka bhi past hai mear ab bulandi bhi dosti mein nahin mai-kadon mein hai zikr-e-dair-o-haram kaif-o-masti jo mai-kashi mein nahin ab payam-e-sukun o rahat-e-dil lala-o-gul ki tazgi mein nahin zist us ki hai ek marg-e-dawam zindagi jis ki zindagi mein nahin kaun kis ka gila kare 'amjad' nur-e-insaniyat kisi mein nahin