rang se rasta surat se pata leta hun aur bichhde hue ek ishq ko ja leta hun ab to ye tujh se bhi bawar nahin hone wala mera qissa hai so khud ko hi suna leta hun ek ziyarat ke siwa yar ki qurbat ke siwa aur ai arz-o-sama tum se main kya leta hun ritl-e-ishq apni taraf se to uthaya hua hai la ise teri taraf se bhi utha leta hun