rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya khamushi se bhi mera haal sunaya na gaya wahshat-e-dil ne hijabaat-e-jahan chaak kiye ek parda rukh-e-jaanan se uthaya na gaya ishq ek dagh sahi daman-e-hasti pe magar khud mashiyyat se bhi ye dagh mitaya na gaya kar diya daftar-e-hasti to pareshan dal ne magar ek khwab-e-pareshan ko bhulaya na gaya wo andhera tha ki hangam-e-sahar bhi hum se sham-e-andoh-e-judai ko bujhaya na gaya sarhad-e-ishq se aage na badhi wahshat-e-ishq husn-e-hushyar ko diwana banaya na gaya lakh unwan se bhulana unhen chaha tha 'rawish' kisi unwan se magar un ko bhulaya na gaya