wahi kasif ghataen wahi bhayanak raat sahar se jaise gurezan hon aaj bhi lamhat wahi jafaen wahi sakhtiyan wahi aafat tumhin batao ki badle kahan mere din raat ye barq o baad ki yurish ye zahr ki barish mili hai ahl-e-chaman ko bahaar ki saughat dilon mein aag nigahon mein aag baaton mein aag kabhi to yun bhi nikalti hai gham-zadon ki baraat kabhi kabhi to zamin aasman chamak utthe kabhi kabhi to dahak utthe khak ke zarraat khizan-rasida chaman aag ho gae 'jazbi' hamare dida-e-pur-khun mein thi magar kuchh baat