rangat tere badan ki gulabon mein ab nahin

rangat tere badan ki gulabon mein ab nahin
naghme ka dard bhi to rababon mein ab nahin

hum hi to ek khana-kharabon mein ab nahin
wo kaun shakhs hai jo azabon mein ab nahin

tera visal teri tamanna to dur hai
tera khayal bhi mere khwabon mein ab nahin

hairaniyon mein uljhe hue hain dil-o-dimagh
wo dil-farebiyan bhi sarabon mein ab nahin

chehron se jis qadar hai 'jahangir' gham ayan
tahrir is tarah se kitabon mein ab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close