rangin bana ke daman-e-zakhm-e-jigar ko main gulzar kar raha hun faza-e-nazar ko main gata hun saz-e-dil pe tarane sahar ko main bedar kar raha hun kisi fitna-gar ko main mulzim nazar hai ya sar-e-shorida ka qusur kaba samajh raha hun tere sang-e-dar ko main chun kar gul-e-niyaz qarib-e-bisat-e-dil bagh-e-iram banata hun dagh-e-jigar ko main wahshi bana hua hai meri manta nahin allah kya karun dil-e-shorida-sar ko main ai husn-e-dil-nawaz meri himmaten to dekh dil de ke mul leta hun dard-e-jigar ko main sang-e-dar-e-habib ko kaba bana na lun jalwa samajh ke husn-e-fareb-e-nazar ko main zahid namaz-e-ishq ki tajdid ke liye phir us ke naqsh-e-pa pe jhukata hun sar ko main meri tarah mujhe wo nazar aaen be-qarar karta hun apni aah mein paida asar ko main shayad niyaz-mand ko hasil niyaz ho hasrat se tak raha hun teri rahguzar ko main karta hun zabt-e-gham ki na khul jae raaz-e-ishq dil mein chhupa ke rakhta hun tir-e-nazar ko main 'anwar' gain na dil ki mere bad-gumaniyan rahzan samajh raha hun har ek rahbar ko main