ek hare khat mein koi baat purani padhna kitna mushkil hai kisi aankh ka pani padhna kuchh na kuchh sochna bas sochna yun hi din bhar aur phir raat mein pariyon ki kahani padhna ek hi chehre ki bauchhaar hai qissa apna meri aankhon se ise dushman-e-jaani padhna kud jaana teri yaadon ke samundar mein phir dubte dubte maujon ki rawani padhna aakhri bar mujhe dekhna jate jate sukhi aankhon se mera sail-e-maani padhna main ne ek daur ka sawan hai kiya nazm yahan tu kabhi aa ke meri aankhon ka pani padhna