rangon ko taswir kiya nahin ja sakta khwabon ko tabir kiya nahin ja sakta hijr tujhe mahsus kiya ja sakta hai lekin daman-gir kiya nahin ja sakta aankhon aankhon mein jo kahte sunte hain kaghaz par tahrir kiya nahin ja sakta jangal mein tum qais nahin ban sakte ho sher mein tum ko 'mir' kiya nahin ja sakta 'shams' tumhaare sher to dil ko lagte hain lekin nam 'kabir' kiya nahin ja sakta