rangon se thande pani ke chashme bana diye kaghaz pe saya-dar shajar bhi laga diye launga ab kahan se nazare ki tab main us ne to meri aankh se parde hata diye bagh-e-huruf-o-gulshan-e-mani mein dekhna kis ne ye khamushi ke nae gul khila diye chhote se abr pare ne aa ke sar-e-falak ahl-e-nazar ko din dhale paigham kya diye bas hum to ek chhoti si zid pe ade rahe dastar ko bachane mein sar hi kata diye aankhon mein rah gae hain faqat aas ke sarab dariya wo yas ke the jo un mein baha diye din ko safar kuchh aur bhi aasan ho gaya raaton ko sabz khwab ye kis ne dikha diye tartib se liye hain tumhaare tamam nam ek aur hi falak pe sitare saja diye tufan ka rup dhaar liya tez sans ne itna ki khwab-gah ke parde hila diye