ye hum se puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai tumhin kaho sila-e-khun-e-kushtagan kya hai asir-e-band-e-khizan hun na puchh ai sayyaad khiram kya hai saba kya hai gulsitan kya hai hui hai umr ki dil ko nazar se rabt nahin magar ye silsila-e-chashm-e-khun-fishan kya hai nazar uthe to na samjhun jhuke to kya samjhun sukut-e-naz ye paira-e-bayan kya hai bahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai nigah-e-yas tere hath hai bharam dil ka kahin wo jaan na len ishq ki zaban kya hai ye aur baat ki hum tum ko bewafa na kahen magar ye jaante hain jaur-e-asman kya hai main shikwa-sanj nahin apni tira-bakhti ka magar batao to ye subh-e-zar-fishan kya hai