ranj-e-duniya ho ki ranj-e-ashiqi kya dekhna sari khushiyan hairaten sab ek si kya dekhna bagh bazar-e-tamasha aankh juya-e-bahaar chashm-e-nargis ya tan-e-sarw-e-sahi kya dekhna dekhna kya ek hi shai su-e-baatin dekhiye be-hisi be-chehragi be-manzari kya dekhna saz mein baala-e-naghma aur aawazen bhi hain ek sharar-e-naghmagi aawaz ki kya dekhna rah-e-sahra hai na aati hai kahin fasl-e-bahaar ishq mein diwangi jama-dari kya dekhna mushkilon mein kaam aa jati hai aashufta-sari ai junun-saman-e-kar-e-agahi kya dekhna jab use dekha to ji chaha ki dekha hi karun sochta ye tha ki naz-e-dilbari kya dekhna