tere aashiq ko talab gul ki na gulzar ki thi

tere aashiq ko talab gul ki na gulzar ki thi
josh-e-wahshat mein hawas wadi-e-pur-khar ki thi

tere jhonkon ne udaya hai jise waqt-e-sahar
ai saba khak wo mere dil-e-bimar ki thi

chaman-e-ishq-o-mohabbat mein ba-san-e-nargis
aankh hasrat se khuli talib-e-didar ki thi

shab-e-tarik se furqat ki main kyun ghabraata
wo siyahi bhi tere gesu-e-khamdar ki thi

khwahish-e-did pe be-kar bigad jate hain
ye to farmaiye kya baat ye takrar ki thi

wo jo utthe to qayamat ne uthaya sar ko
wo bhi muhtaj magar qamat-e-dildar ki thi

zoaf ne kar diya khamosh 'jamila' warna
hum se raunaq to kabhi kucha-e-dildar ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close