ranj-e-giran-e-shauq ka hasil na kah ise tark-e-safar kiya hai tu manzil na kah ise ye zabt zabt-e-gham nahin ek be-dili si hai ye dil harif-e-dard nahin dil na kah ise tughyaniyan kuchh aur hain maujon mein ret ki main dubta hun ishrat-e-sahil na kah ise marta nahin hun maut ki be-hasili pe main jita agar hun ulfat-e-hasil na kah ise milna safar ka aur bichhadna safar ka hai duniya to rahguzar hai mahfil na kah ise