tujh se ai zist hamein jitne hasin khwab mile naqsh-bar-ab kabhi surat-e-simab mile hum ne har mauj-e-hawadis ko kinara samjha hum ko har mauj mein lipte hue girdab mile gardish-e-waqt ne gahna diye kitne suraj subh ki god mein dam todte mahtab mile jab bhi sadiyon ki futuhat ko mud kar dekha khun mein luthde hue tarikh ke abwab mile sail-e-zulmat mein hai qafila-e-manzil-e-shab kash aise mein koi najm-e-ufuq-tab mile ahal-e-kirdar ko dekha hai sar-e-dar aksar ahal-e-guftar tah-e-saya-e-mehrab mile fasl-e-gul aai hai yaro to ghanimat jaano phul afsurda sahi zakhm to shadab mile dil ke har dagh se wabasta hai rudad-e-sitam ranj badhta gaya jun jun mujhe ahbab mile mujh ko 'akhtar' na mili nala-e-shab-gir ki dad qarya-e-shauq ke sab log garan-khwab mile