ranj ke hathon git khushi ke likhwao to baat bane tod ke ashkon ki zanjiren muskao to baat bane shor machati aawazon se tod ke rishta pal-do-pal khamoshi ki sargoshi gar sun pao to baat bane gulshan mein to khushbu har-su rahti hi hai gul-rut mein sahraon mein jaanan ghunche mahkao to baat bane mujh ko hir sayal se matlab aur na ranjhe se kuchh kaam tod ke bandhan rasmon ka tum aa jao to baat bane baat wafa ki dil walon ki nagri mein hai aam bahut shahr-e-butan mein git wafa ke ga pao to baat bane god mein khushiyon ki har koi chain se sota hai lekin mund ke aankhen gham banhon mein lahrao to baat bane chand sitare tod ke lana afsanon ki baaten hain mere liye to pyar nazar mein bhar lao to baat bane