ranj-o-alam se mohabbat hai sai-e-nakaam se mohabbat hai zindagi-bhar na ho sahar jis ki hum ko us sham se mohabbat hai kya khatar gardish-e-falak se hamein gardish-e-jam se mohabbat hai baada sahba sharab se darad aise har nam se mohabbat hai baada-o-jam se mohabbat thi baada-o-jam se mohabbat hai har ghadi dil mein yaad hai un ki bas usi nam se mohabbat hai un mein shan-e-khuda hai jalwa-fagan hum ko asnam se mohabbat hai dushman-e-jaan hai ye mohabbat bhi said ko dam se mohabbat hai qadr-e-isar kya wo samjhenge jin ko anjam se mohabbat hai us ki tashrih kya ho ai 'sahir' dard-e-be-nam se mohabbat hai