ranj-o-gham lakh hon muskuraate raho dost dushman se milte milate raho ye andhere hain mehman ek raat ke tum magar subh tak jagmagate raho main bhulane ki koshish karunga tumhein tum mujhe roz-o-shab yaad aate raho rah ke pech-o-kham khud sulajh jaenge su-e-manzil qadam ko badhate raho abr ban kar baraste raho har taraf umr shadabiyon ki badhate raho maut aae to khamosh kar jaegi zindagi git hai is ko gate raho taza-dam mujh ko rakhna hai 'hafiz' to phir har qadam par mujhe aazmate raho