ranj-o-gham-o-firaq mein jo mubtala nahin duniya mein us ki zist ka kuchh bhi maza nahin le lo qasam ki hum ne tumhaare siwa sanam is naqd-e-dil ko aur kisi ko diya nahin ai dil buton ke ishq ne barbaad kar diya warna jahan mein hum sa koi ba-wafa nahin bilkul durust ye ki buton mein wafa kahan un se to dil lagane ka kuchh bhi maza nahin pai saza kharab hue ishq kyon kiya ye sab khata hai dil ki hamari khata nahin dam lakh us ke ishq ka bharte rahe magar phir bhi kisi ka wo kabhi dil-ashna nahin insaf mera aur tera hoga ek din wo kaun sa sitam hai jo mujh par kiya nahin mashuq-e-pur-jafa se main na-chaar ho gaya is gham se chhutta magar aati qaza nahin aah-o-fughan se faeda kuchh bhi nahin 'aziz' ye but hain sang-dil inhen khauf-e-khuda nahin