tumhaara ishq jab se kya hua ai naznin hum ko pasand aata nahin hai koi bhi ab mah-jabin hum ko kiya izhaar jab hum ne gham-e-furqat to wo bole tumhaare kahne ka hota nahin hai kuchh yaqin hum ko pas-e-murdan pa-e-pamal goristan mein phirte hain nishan-e-turbat-e-ushshaq mil jae kahin hum ko butan-e-sang-dil se kya ho ummid-e-wafa ai dil jahan mein dhund baithe kuchh pata milta nahin hum ko na jaen mar ke wo hain aashiq-e-jaanbaz ai hamdam tere kuche mein gar mil jae thodi si zamin hum ko tere dar par khade hain did ko hum ek muddat se dikha de shakl-e-nurani ab ai parda-nashin hum ko 'aziz'-e-zar gar ishq-e-butan mein ye rahi surat kisi din mar dalega dil-e-andoh-gin hum ko