ranj-o-rahat wasl-o-furqat hosh-o-wahshat kya nahin kaun kahta hai ki rahne ki jagah duniya nahin ahl-e-gham tum ko mubarak ye fana aamadgi lekin isar-e-mohabbat jaan de dena nahin husn sar-ta-pa tamanna ishq sar-ta-sar ghurur is ka andaza niyaz-o-naz se hota nahin ek haalat par zamane mein na guzri ishq ki dard ki duniya bhi ab wo dard ki duniya nahin jis ke shoalon se thi kal tak garmi-e-bazm-e-hayat aaj is khakistar-e-dil se dhuan uthta nahin main adam andar adam main hun jahan andar jahan ek hi duniya ho meri ai 'firaq' aisa nahin